Monday, March 26, 2012

Auron ki khushi se kyon, aise jal rahe ho tum

GHAZAL
Auron ki khushi se kyon, aise jal rahe ho tum
Ghaur se agar socho, khud ko chhal rahe ho tum
Ek haath se taali, baj saki hai kab bolo
Dosh apna bhi dekho, kyon ubal rahe ho tum
Waqt ke badalne mein, der khuchh nahi lagti
Mil gai jo kuchh daulat, kyon uchhal rahe to tum
Jaisa tumne boya tha, vaisa hi to kaata hai
Ab udaas hokar kyon, haath mal rahe ho tum
Ab to bas ye nishchit hai, tum bhatak hi jaaoge
jaante nahi rasta, aur chal rahe ho tum
Jisne jag rachaa saara, yaad usko bhi rakhna
Uski mehrbani se hi to pal rahe ho tum

Riyaz Ashna

Mujhe saath har dam tera chahiye

GHAZAL
Mujhe saath har dam tera chahiye
Tu mil jaaye to aur kya chahiye
Paresha.n hain sab shahr ke shor se
Muhabbat bhari ek sada chahiye
Gale se laga lega dushman tujhe
Magar tujh mein aisi ada chahiye
Fasadon ko bhadkana mushkil nahi
Unhen to bas ek mud-da-aa chahiye
Wo har ek buraai se muh mod lein
Jinhen bhi khuda ki raza chahiye


Riyaz Ashna

Bahot khoobsurat meri zindagi ho

GHAZAL
Bahot khoobsurat meri zindagi ho           
Na mujhko koi gham na koi khushi ho 

Wahi surkhru hoga dono jahan mein
Adaa jis bashar se haq-e-bandagi ho

Jahan ke masaa-il sulajh jayenge, gar
Muhabbat ka haamil har ik aadmi ho

Yun maa-baap ko khush rakhen zindagi bhar
Kabhi bhi na ankhon mein unki nami ho

Pareshaniyan khud hi ho jayengi kam
teri zindagi mein agar saadgi ho


Riyaz Ashna

Jo khabar apne gireba.n ki nahi rakhta hai

Jo khabar apne gireba.n ki nahi rakhta hai
Har koi apney siwa usko bura lagata hai

Khubsurat hai bahot pyar ka aalam lekin
Chashma nafrat ka laga ho to nahi dikhta hai

Jo hai buzdil wo to har roz hi marta hai magar
Jo bahaadur hai wo ek baar maraa karta hai

Koi zardaar ho, raaja ho ya ho taaqatwar
Maut jab aati hai, koi bhi nahi bachta hai

Zindagi mein na wo paayega kabhi dil ka sukoon
Qadr jo apney buzurgo.n ki nahi karta hai


Riyaz Ashna
Reply

Wednesday, March 14, 2012

Ghayal hue hum bhi wo kaha.n dekh raha hai

Ghayal hue hum bhi wo kaha.n dekh raha hai
Bas apne hi zakhmon ke nisha.n dekh raha hai

Us shakhs ko ulfat mein na mil payegi manzil
Is raah mein jo sood-o-ziya.n dekh raha hai            (Sood-o-ziyan = Profit & Loss)

Khushiyon ne diye dokhe use itne ke wo ab
Har simt fazaaon mein khizaa.n dekh raha hai

Afsos hai too apne usoolon ko bhulaa kar
Ghairon ke tareeqon mein amaa.n dekh raha hai     (Amaan = Safety)

Ladte hue firqon mein sulah usne karaai                  (Firqon  = Groups)
Ab jaltaa hua apna makaa.n dekh raha hai

Riyaz “Ashna”

Sunday, March 04, 2012

हसरतें मिट गईं

ग़ज़ल
हसरतें मिट गईं, हर ख़ुशी खो गई
तुम गए तो मेरी ज़िन्दगी खो गई

मेरी किस्मत में सहरा था सो मिल गया
हाय वो हुस्न की इक नदी खो गई

पास मेरे खिजान, दूर है वो बहार
फूल मुरझा गया, ताजगी खो गई

यादों की आग में जिस्म-ओ-जान जल रहे
कैसे पाऊं सुकून, चांदनी खो गई

मैं खतावार हूँ बख्श दे ऐ खुदा
इश्क की राह में बंदगी खो गई
रियाज़ 'आशना'

Saturday, March 03, 2012

नफा हो या मिले नुकसान

ग़ज़ल

नफा हो या मिले नुकसान हरगिज़ झूट मत बोलो
बना लो अपनी इक पहचान हरगिज़ झूट मत बोलो

ये झूटी शान-ओ-शुकात एक दिन बर्बाद कर देगी
करो खुद पर ज़रा अहसान हरगिज़ झूट मत बोलो

पता चल जायेगा मरने पे क्या पाया है क्या खोया
यहाँ चन्द रोज़ के मेहमान,हरगिज़ झूट मत बोलो

कमाई कम भी अच्छी है अगर ईमानदारी हो
खरीदो बेचो जब सामान हरगिज़ झूट मत बोलो

रियाज़ 'आशना'